Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Sanjeeviah park- Hyderabad- tiranga image- ticket cost timing

Sanjeevaiah park. Hyderabad k ilaqe nicklace road par waqe hai.
Jo apna Khali waqt guzarne aur greenery ka maza uthane ka ek bahtareen jagah hai. Ye park qudrati khoobsurti se bharpoor tazi hawa faraham karta hai log yaha apna kuch waqt aaram se guzarne morning walk karne aur fresh air hasil karne k liye aate hai.
Sanjeeviah park 92 acre me phaila huwa ek green space park hai Jo Hyderabad k sabse purane aur bade parks me se ek hai.
Is park ka Naam sabiq chief minister Damodaram Sanjivayya,k Naam par rakha gaya hai. Park me kai bar construction hochuka isse public park aur tourist place banane k liye ab bhi waqt dar waqt isme construction hota rahta hai.
Is park Ko 2010 me art and cultural heritage award k douran best open land scape award bhi mil chuka hai. Telangana hukumat ki dekh rekh me Ye park hyderabad metropoliton development authority (HMDA) k nigrani me kaam karta

Sanjeeviah park me moujood Hindustani tiranga. aur iski kuch khususiyat
Tirange ki oouchai 291 feet aur choudaii 72 × 108 feet hai.
Pehla sabse oouncha tiranga Ranchi shaher me moujood hai.
Park me 200 se zyada parindo ki prajati aur 50 se zyada Titli aur kido ki prajati moujood hai. Yaha dunya bhar se migration karke aane wale parindo ko bhi dekha jasakta hai is park ka sabse mashoor parinda cuckoo hai.
Iske ilawa ek rock mountain, recycle kiye gae cheezo se mugasme bhi bane huwe hai.
Aur solar lighting bhi lagai gai.
Park waqt waqt par events host karta hai jaise roller-skating races. Aur social awareness program.
Sath he park Hussain sagar lake k kinare par bana hai jisse aapko tazi hawa k sath sath lake ka bahtareen nazara bhi karne ko milega park k qareeb doosri tourist places bhi hai jaise jalavihar water park, imax theatre, park k 3_4 km k atraf me aapko doosre ghoomne ki jagahe bhi mil jaegi jaise snow world, Indira park, paigah palace, Spanish mosque,
Sanjeeviah park ka ticket cost, timing, bus services, location,
Ticket cost: ₹5:00 adults k liye.10 saal se kam umar k bacho k liye free entry.
Morning Walker k liye ₹2:00
Monthly pass_₹50
Note: sanjeeviah park me sirf 14 saal se kam umar k bache ya family's ko he entry hai.
14 saal se bade bacho k liye ya sirf males k liye entry nahi hai family's k sath entry hai.
Timing: hafte k 7 din. subah 8:00 baje se. Shaam 6:00 baje tak.
Morning walk timing: subah 5:00 baje se 8:00 baje tak.
Location: khairtabad, necklace road, Hussain sagar, Hyderabad, 500003, telanagana, India.
Bus services: aapko park tak pohochne k liye ranigunj pohochna hoga
Iske liye aapko buses afzal gunj, koti, dilsukh nagar, panjagutta, Attapur, hi-tech city, .mehdipatnam, waqera se mil jaegi.
Comments
Post a Comment