Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Birla mandir shaher hyderabad k pursukoon ilaqe Adarsh nagar, hussain sagar, me waqe hai.
Mandir noubat pahad (mountain) par bana huwa hai jahase aap sare hussain sagar ka nazara kar sakte hai.
Birla mandir 130 acre me bana huwa hai aur 280 fit unchai par bani huwi hai. Is mandir ko birla foundation ne banya hai Jo Hindustan k kai aur shahero me birla mandir k kaam se mandir bana chuke hai.
Is mandir ko banne me 10 saal lage jise Ramakrishna mission k tahet 1976 me banwaya gaya.
Birla mandir me aur koun kounse mandir bane huwe hai.
Hyderabad ka ye birla mandir tirumala tirupati mandir ko dedicate kiya jata hai.
Is mandir me tamaam Kalahari sang-e-mar Mar (marble) par ki gai hai jiski miqdaar (quantity) taqreeban 2000 ton hai.
Marble par maheen bareek aur khoobsurat karigari dekhne ko milti hai.
Rajasthan, aur Dravidian ka mail is karigari me hame dekhne ko milta hai.Birla mandir me Lord venkateshwar ka granite se bana 11 feet lamba buth bhi bana huwa hai.

Main mandir k ilawa Lord venkateshwara, padmavati, aur Andal k mandir alag alag bana kar rakhe gae hai. Iske ilawa mandir me Shiva, Shakti, Ganesh, Hanuman, Brahma, Saraswati, Lakshmi aur Saibaba. K alag alag mandir bane huwe hai. Lekin upar mandir me camera ya cell phones lejane ki ijazat nahi hai.
Openion: aap jab birla mandir ko jaoge sath me aapko Issi k pass birla Auditorium bhi sath me zaroor ghoome sath he nicklece road, hussain sagar, jalavihar, sanjeeviah park, bhi zaroor jae agar aap bus se travel karke Jana chahate ho to aapko buses Afzal ganj, Secunderabad, koti, Dilsukhnagar, mehdipatnam, Charminar bus depot, etc. Se mil jaegi. Agar aap car ya bike se safar karke Jana chahate ho to Google map aapke liye best option hai.
Birla mandir ki entry fee timing aur isme ghoomne k liye lagne wala samay
mandir ki entry fee nahi hai iski entry bilkul free ha.Mandir me ghoomne k liye approximately aapko 2-3 ghante lagege.
Iski timing hai. Subah 7:00 baje se dopaher 12:00 baje tak Dopaher 3:00 baje se shaam 9:00 baje tak.
Aapko mandir ghoomne k liye approximately 3-4 hours lagege.
Address: hill fort Rd, ambedkar colony, Adarsh nagar, hyderabad, telangana, 500004.
Comments
Post a Comment