Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Lumbini park Hyderabad- ticket cost entry time (Hindi)

Lumbini park Ye park hyderabad k Sabse khoobsurat tourist places me se ek Hussain Sagar lake k pass moujood hai.
Ye park chota hai jo 7.3 acre par hai. Lekin hyderabad k bade tourist places k pass hai jaise Hussain Sagar, Birla Mandir, NTR park, Necklace road, imax theatre, sanjeeviah park, jalavihar, Waqera.
iske ilawa Lumbini park me boating ki sahulat bhi hai jisse log Hussain Sagar me moujood Goutam Buddha k Budh k pass take pohoch sakte hai.
Yahi logo Ko is park ki taraf aakarshit karta hai. Iske sath he ye park Hussain Sagar lake k kinare par hai jisse logo Ko yaha apna waqt guzarne acha lagta hai isme artificial water fountain k ilawa play area aur tahelne ki kafi jagah sath he food court, cricket ground, jaise manaranjan se bhari cheeze hai bacho k Manoranjan k liye. Ye park 1994 me Bana tha.

Lumbini park ka laser show iski timing, ticket cost.
Park me laser show bhi dikhaya jata hai jisme Pani light aur music k ridhim par dance karta huwa lagta hai.Ye laser show is poore park ka aakarshan hai.
Is laser show ki timing hai hafte k 7 din
Shaam 7:15 ko.
Saturday aur Sunday k din 2 show hote hai.
1) shaam 7:15 ko.
2) shaam 8:30 ko.
Laser show ki ticket cost hai ₹50.
Lumbini park ka naam Andhra Pradesh k Sabiqa chief minister T Anjaiah. K Naam se rakha gaya hai.
Opinion: agar aap Hussain sagar lake ghoomne jarahe ho to is park me zaroor visit kare qaas kar 4pm k waqt kyuki isse aapko park ka maza uthane k baad laser show dekhne ki timing mil jaegi.
Is park me aapko ghoomne k liye approximately 2-3 hours lag jaege.
Lumbini park ki entry timing, ticket cost, bus services, location.
entry timing: subah 9:00 baje se Shaam 9:00 baje tak.entry fee: ₹20 adults k liye.
₹10 children's k liye.
Boarting me Mechanised Boating adults k liye Mechanised Boating Children k liye ₹35. ₹55. Speed boarting k liye ₹350. Bhagamati Boating Children k liye ₹80. Bhagamati Boating adults k liye ₹110. Family boart jisme 5 log baith sakte hai Rajahamsa. Har ek shaks k liye ₹100. Aur laser show ki ticket price ₹50.
Bus service: Hussain sagar pohochne k liye aapko buses koti, dilsukhnagar, Secunderabad, afzal gunj, charminar bus depot, abids, Waqera se mil jaegi.
Location: opposite Secretariat new gate, Hussain sagar, khairtabad, hyderabad-telangana, 500004, India.
Comments
Post a Comment