Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
NTR Gardens- Hyderabad Hussain sagar ticket cost location (Hindi)
Ntr garden Hyderabad k beecho beech Hussain sagar lake par bana huwa ek chota lekin khoobsurat park hai.
Iske aas pass k ilaqe me lumbini park, imax theatre, necklace road, sanjeeviah park, birla mandir, jalavihar water park, jaise tourist places moujood hai.
1999 me 55 acre me se shuruwati dour me sirf 5 acre par ye park banaya gaya.
Uske baad imax theatre, Ntr marg, banaya gaya.
Ntr garden aur Ntr marg jisme liye banaya gaya
Ntr garden aur Ntr marg . Andhra Pradesh k sabiq chief minister N.t Rama rao ki yaddasht me banaya gayaNTR marg jisme Ntr memorial bana huwa hai issi marg me Andhra Pradesh k sabiq Chief minister Nt Rama Rao ki samadhi bhi moujood hai jiska is park Ko unhi k Naam par banaya Gaya hai.
Iska inougration N Chandra babu naidu ne kiya tha.
is park me logo k Manoranjan k liye water tube ride, bacho aur bado k liye play area, ghomne k liye park, restaurant, aur kai khoobsurat arts construction, moujood hai.
1999 k Baad se Kai bar park me changes kiye gae Jo k isse ek tourist place banane k liye zaruri bhi tha.
Ntr garden ki entry timing, ticket cost, location, aur buses ki sahulat
NTR Garden ki entry fee hai. ₹20 adults k liye. ₹10 children's k liye. ₹30 camera k Sath. ₹60 camcorder k Sath.
entry timing: hai hafte k 7 din dopaher 2:30 baje se Shaam 8:00 baje tak,.
Agar aap bus se travel karke yaha Jana chahate ho to aapko iske liye buses hi-tech city, charminar bus depot, afzal gunj, dilsukh nagar, koti, Attapur, mehdipatnam, nampally, etc
Is park me aapko ghomne k liye approximately 2-3 ghante lagege.
Location: Ntr marg, central Secretariat, khairtabad, Hyderabad, telangana, 500004.
Comments
Post a Comment