Skip to main content

Featured Post

Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi)

  Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location  (Hindi)   Hyderabad hamesha he se apne  Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi   architecture me  Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome  karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum,  paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque   ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya Jam e Masjid Aiwan-E-Begumpet, bhi hai. Ye masjid touristo

Nizam museum Hyderabad- ticket cost location entry timing (Hindi)

Nizam museum Hyderabad- ticket cost location entry timing (Hindi)


 {Best} 40 places to visit hyderabad hindi (Roman English)

  Nizam museum
Shaher Hyderabad k  old city ilaqe dabeerpura, purani haweli  me waqe hai jisme 7th Nizam Usman Ali Khan se Jude cheeze moujood hai. Is museum me wo khimti cheeze moujood hai Jo 7th Nizam ko unke silver jubilee taqreeb me  tohfe me do hai this. wo Hyderabad k tamaam tariqi imarato k bane huwe models hai jo Chandi (silver) se bane huwe hai.  {Best} 40 places to visit hyderabad hindi (Roman English)


7th nizam ko di gai gifts Jo aaj nizam museum me rakhi huwi hai.

Nizam museum: me 1930 ki Rolls Royce, Packard aur Jaguar Mark V vintage car museum me Rakhi hai. Iske ilawa silver Jubilee celebration k tohfo me Usman Ali Khan ki tasveer shishe se Bani. Wooden box jisme maa ka moti Heere moti jade huwe Khanjar hai. Sath he sone (gold) ka palang jisme Heera jadaa hai. 

 Jubli hall ka small model. Chandi k bane itar k dabbiya. Sone ka tiffin box. Chandi (silver) k coffee cup jinme Heere jade huwe hai. Iske sath he museum me 150 saal purani manual lift. Aur Usman Ali Khan ki almari jo dunya ki Sabse badi almari hai. Nizam museum: public k liye 18 February 2000 Ko Khola gaya tha.

Ye museum 2018 me jab national khabro me aaya jab do ladko ne isme se sone (gold) ka tiffin Jo heero se bhara tha chura liya.
Jin ladko ko baad me pakad kar unke pass se wo tiffin box baramad karliya gaya.

Opinion: aap jab charminar ghomne k liye aae to nizam museum zaroor visit kare Nizam's of Hyderabad k kheemti jagaho aur cheezo me se ek ye bhi museum hai.

Nizam museum ka location entry cost, entry timing, aur transports.

Is museum tak pohochne k liye agar aap bus se Jana chahate ho to aapko buses afzal gunj, charminar bus depot, saidabad, Santosh nagar, se milegi iske ilawa aap kahi aur se yaha aa rahe ho to aapko pehle charminar bus depot ko aana padega.
Ye museum charminar se sirf 1km ki doori par hai.

Ticket cost: ₹65 adults k liye.
₹15 children's k liye.

Entry timing: subah 9:30 se shaam 4:30 baje tak. Hafte k 7 din ye museum khula rahta hai.

Location: old city, purani haweli, dabeerpura, Darushifa, backside durre shahwar hospital, Hyderabad, telangana, 500002.




Comments

Popular posts from this blog

Sudha Cars Museum Hyderabad- ticket cost timing location (Hindi)

Sudha Cars Museum Hyderabad- ticket cost timing location (Hindi) Sudha Cars Museum Hyderabad- k Bahadurpura, Nehru zoo logical park k qareeb waqe hai. Dekhne k liye ek dilchasp jagah. Jo India me he nahi Balki dunya ka first hand made wacky hand made cars ka museum hai.isme hamare gharelu istemal k saaz o samaan ki shakal ki cars Bana kar rakkhi gai hai aur ek dunya ki sabse pehli  multi use car aur kai hairat angez cars bani huwi hai Jo taqriban 500 k qareeb hai Jo travellers Ko apni taraf aakarshit Karti hai, Sudha car museum : me brinjol car, pen car, pencil car, camera car, shoe car, tennis cock car, cricket ball car, golf ball car, chess board car, helmet car, computer car, snooker table car, shivalinga car,  cup n table car, double bed car, football car, mug car, sofa car, ladies hand bag car, lipstick car, stilleto car, comdom bike, compact car, dining table car, burger car, cage car, Christmas tree car, cricket bat car, lotus car, suitcase car, aur dunya ki sabse c

Paigah tombs Hyderabad- entry timing location (Hindi)

Paigah tombs Hyderabad- entry timing location (Hindi) Paigah Tombs , Hyderabad k ilaqe santosh nagar me waqe hai Jo owaisi hospital k samne gali me hai.   Ye paigah family shams-ul-umra se taluk rakhte hai Jo 7th nizam mir usman Ali k kattar wafadar thei iske sath he wo nizam k senapati bhi thei. Jinka muqaam 7th nizam k baad 2nd  muqaam rutba rakhte hai. Paigah family ki detail. Paigah khandan k wanshanj Abu al fateh tegh Jung Bahadur. Burhanpur me paida huwe phir Hyderabad hijrat karke aae Inhe nawabi khitaab se nawaza gaya sath he salabat Jung ki taraf se 1756 me Saltanat ki difa k liye muqarar kiya gaya. Paigah tombs me Abu al fateh tegh Jung Bahadur aur unke khandan k aur khaas nazdiki logo k maqbare hai. Paigah k qaandaan 18 v sadi k Sabse taqatvar aur reputation khandano me se thei jo islam k doosre qalifa Syedna Umar (rz) k vanshaj thei. Inki jageer ka area 4000 sq miles tha, ye Abdul Fateh Khan Tegh Jung inke aaba o ajdaat thei jo Asif Jah k Sath Hyderab

Shilparamam Hyderabad- ticket cost timing images

Shilparamam Hyderabad- ticket cost timing images. Shilparamam : Hyderabad k ilaqe hi-tech city madhapur me waqe ek art aur craft gaov (village) hai. Jise telangana hukumat be banwaya hai. Isko public awareness k liye banaya gaya aapko yaha village jaise feel karane k liye sare intezam hai. Is village ko logo me jagrupta lane k liye aur art n craft ki khoobsurti iski ahmiyat batane k liye banaya gaya. Yaha Sara saal Amphi theatre  me  ethnic festival hote rahte hai. Is theatre me lagbhag 1000 se zyada logo ki gunjaesh hai. is village ko 1992 me banaya gaya Jo 65 acre me phaila huwa hai. Ye shaher k bheed bhaad wale ilaqe me cyber tower k bilkul samne bana huwa qudrati mahol ka ahsas dilata hai. Isme bahtareen karigari hame dekhne ko milti hai yaha sari cheeze hand crafted hai kapdo k shops, artificial flowers aur flower pots, hath se bane huwe mitti k bartan k kai sare shops yaha moujood hai iske ilawa village jaise ghar yaha tak k iske  office bhi jhopdiyo jaise