Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Mahboob chowk mosque- Hyderabad timing location (Hindi)

Mahboob chowk mosque: shaher Hyderabad k old city k khilwat ilaqe me waqe hai is jagah ko murgi chowk k naam se bhi Jana jata hai Jo hussaini alam ilaqe se muttasil hai.
Ye masjid Charminar se sirf 0.4km par waqe hai laad bazar k pass.
Ye masjid hamesha khuli rahti hai.
Mosque 126 saal purani hai jiski banawat dilkash aur Deccan ki karigari jhalkati hai. is mosque me lagbhag 4000 log ek waqt me namaz padh sakte hai,

Mahboob chowk mosque ka kuch itihaas aur iske aas pass ka ilaqe.
Mahboob chowk mosque ko 6th nizam mahboob Ali pasha k naam par rakha gaya hai.
Is masjid k bilkul samne clock tower hai jisse ye masjid pehchani jati hai.
Masjid k atraaf old parts ki shops hai sath he iske piche chowk hai jaha parinde jaise parrots (tota), love bird, taqreeban 30-40. variety k pigeon (kabuter), 100-150 variety k spirals (chudiya), rabbits (khargosh), hens (murge), eagle (cheel), crows (kawwe), waqera milte hai.
Opinion: jab aap charminar macca masjid chowmahella palace ghoomne k liye aae to is mosque ko zaroor visit kare 126 saal purane khoob Surat construction ko dekhe lekin is area me aapko parking ki thodi problem hogi agar aap car se aaoge to parking ka sawal he nahi bahtar hoga aap ya to bus se aae ya apni car charminar k qareeb bane parking area me apni gadi park karde.
Mahboob chowk mosque ka location, entry timing, bus services,
Is mosque tak pohochne k liye aapko charminar bus depot aana padega.
Iske liye aapko buses afzal gunj, Secunderabad, koti, Attapur, chandrayan gutta, falaknuma, Balapur, hi-tech city, ameerpet, dilsukh nagar, uppal, waqera se mil jaegi.
Location: khilwat, laad bazar, hussaini alam, Hyderabad, telangana, India.
Timing: subha 5:00 baje se shaam 9:00 baje tak.
Comments
Post a Comment