Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Mahavir Harina Vanasthali National Park ek Hiran (deer) ka qoumi (national) park hai jo vanasthali Puram, soheb Nagar, Hyderabad, Telangana, me waqe hai. Ye 13758 acre par phaila huwa hai ye Hyderabad shaher ka Sabse bada green space hai jo shaher Ko Raza hawa mohiya karane me kafi madad karta hai is park me deers k ilawa bhi indian pithing, lonbdi, aur black khargosh,
kuch sou black bucks ( Andhra Pradesh ka qaoum janwar) serkapainz, water moniter, small finger aqaab, Hindustani talaab bagula, kingfisher, aereret, camorent,aur doosre qisam k parindey Shamil hai,_
Yaha aane wale tourists k liye hukumat ne sheds aur watching towers banwae hai jiske zariye log in janwaro Ko dekh sakte hai,
is park Ka Naam Mahavir k Naam par rakha gaya tha, jo hai santh hai, jo 1975 me apni 2500 v narwaan ki saalgira ki yaad me manaya Gaya tha, ye jagah jaha park hai waha kabhi Nizam Hyderabad k hukmarano k liye niji shikaar gah tha_ is qeemti warse Ko barqaraar rakhne aur iski bahali k liye ek Hiran (deer) park qayam Kiya Gaya tha, isko qaoumi park k qayaam k liye Nizam Hyderabad ne fund diya tha_
Mahavir Harina Vanasthali National Park ki entry fee hai.
₹20:00 adults k liye.
₹15:00 children's k liye.
Iski timing hai.
Monday holiday.
Tuesday se Sunday tak. Subah 9:00 baje se Shaam 5:50 baje tak.

Kasu brahmanand park is a one of the biggest greenary park of the hyderabad
ReplyDelete