Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Kasu Brahmanand Reddy national park ek qoumi park hai jo jubli hills aur Banjara hills me waqae hai jo chiran mahel ya chiran fort k Naam se bhi pehchana jata hai, park me 390_acre (1.6 km 2) ka qareeb area hai! Sara park ka area 400 acre me phaila huwa hai aur isse apne Walid shahzada Azam jahh ne 1967 me iski tajposhi par shahzada (prince) mukkaram Jah Ko diya tha markaz se manzuri Milne k Baad isse Andhra Pradesh k riyasati hukumat ne qoumi park k tour par aailaan Kiya tha- government 1998 me- kasu Brahmanand Reddy national park SAR sabz, dikash khudrati khoobsurti, wali jagah hai families k liye apna waqt guzarne k liye BADIYA jagah jo apna kuch waqt khudrati scenario me guzarne chahate hai. ye markazi jubli hills me waqe hai aur concrete k jungle k beech k jungle k touar par Jana jata hai_
Kasu Brahmanand Reddy national park. Ki entry fee hai.
₹20 adults k liye.
₹10 children's k liye.
₹400 monthly pass.
₹1500 yearly pass.
₹1000 senior citizens k liye.
Iski timing hai.
Subah 5:30 se subah 10:00 baje tak.
Aur Shaam 4:30 se Shaam 6:30 baje tak.


Comments
Post a Comment