Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Public garden Hyderabad- ticket cost timing location.

Public garden Jisse Urdu me bagh-e-aam Naam se bhi Jana jata hai.
Hyderabad k beech o beech Nampally me waqe hai jo Nampally railway station se sirf 1km ki doori par hai. Ye park 7th Nizam Mir Usman Ali ne 1846 me banwaya tha. Ye bagh Hyderabad k Sabse old bagho me se ek samjha jata hai.

Bagh-e-aam k atraaf Telangana state waqf board, Haj house, Telangana assembly. Jaise imarate moujood hai, is park Ko aasar e qadima (archaeology department) under rakha gaya hai. Shahi masjid bhi Issi park k andar hai Jo Hyderabad k kuch qadeem masjido me aati hai.
Public garden me moujood Dr. Y.s rajshekhar reddy museum.

park k andar dr y s rajshekahar Reddy meuseum bhi moujood hai. Jo Andhra Pradesh k poorv chief minister Dr. Y.s rajshekhar reddy k naam par rakha gaya gai.
Jo 7th Nizam ne he banwaya tha jiska Naam Baad me Badal kar dr y s rajshekahar Reddy rakha gaya. Is museum me Buddhist gallery, Brahmanical & Jain gallery, Bronze gallery, Arms aur Armour gallery, Numismatics gallery, handicraft, Egyptian mummy, state k hand made zari works, Ajanta gallery dunya bhar ki kuch nayab cheeze moujood hai.
Jo 7th nizam k damaad ne 6th Nizam ko tohfe me diye gae thei.
Aap jab public garden jae to kam se kam 4 hours rakh kar jae tabhi is park ka Sara mutaala sath he museum me bhi ghoom sakte ho iske ilawa park me aap morning walk k liye bhi ja sakte hai.
Public garden ki entry timing, location, ticket cost, bus services,
Ticket cost: ₹20 adults k liye.
₹10 children's k liye.
Entry timing: hafte k 7 din subah 9:00 baje se dopaher 12:00 baje tak.
Dopaher 2:00 baje se shaam 6:00 baje tak.
Bus servises: aapko is park tak pohochne k liye nampally hai house bus station padega.
Iske liye aapko buses charminar bus depot, afzal gunj, koti, Secunderabad, mehdi Patnam, dilsukh nagar, Attapur, begumpet, waqera se mil jaegi.
Iske ilawa abhi yaha tak pohochne k liye metro train ki bhi shuruwat hochuki hai iska metro station assembly naam se hai.
Ya phir aap train se bhi yaha pohoch sakte ho Jo Hyderabad ka main railway station nampally he padta hai.
Location: nampally, opposite haj house, red hills, Hyderabad, telangana, 500004, india
Comments
Post a Comment