Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Tank bund (hussain sagar)- Hyderabad- timing location
Tank bund (hussain sagar) shaher Hyderabad k beecho beech himayat nagar par waqe hai jo Secunderabad se bhi qareeb hota hai
Hyderabad k sabse purane aur qutub shahi khaandan ki yadgaro me se ek ye jheel dilkash aur pur sukoon jagah hai jaha aap apna khali waqt weekend me he nahi balki roz guzar sakte ho jheel ki khoobsurati dekhte he banti hai.
ye lake charminar se qareeb 3km ki doori par banai gai 1963 me ibrahim quli qutub shah ne banwaya tha is lake ko design hussain shah wali ne diya tha isliye is lake ka naam unhi k naam par rakha gaya.
Ye lake 5.7 square km me phaili huwi hai iski depth 32 feet hai.
Is lake me goutam buddha ka statue bhi 1992 me lagaya gaya tha.
Jo is lake ki taraf touristo ko aakarshit karta hai.
Tank bund (hussain sagar) me moujood goutam buddha k statue ka itihaas.
Gibraltar ki chattan par banai gai goutam buddha ka statue jo 54 feet ooncha hai lagbhag 6 floor ki building jitna.
Isse 1992 me lagwaya gaya tha iska wazan 450 ton hai jo granite ko tarash kar banaya gaya. Isse 200 karigaro ne mil kar 2 saal tak banaya jise 1988 me Hyderabad laya gaya pehle thodi pareshaniya aai is statue ko tahrane me jise baad me lagwa he diya gaya jo budh purnima project k tahet kiya gaya.
South india ka pehla thermal power.
Tank bund (hussain sagar) k kinare 1920 me thermal power lagaya gaya jise 7th Nizam mir Osman ali ne lagaya tha jo Hyderabad Secunderabad ko 1983 (63) saal tak bijli (Electricity) deta raha.
Andhra pradesh k Poorv chief minister late N T rama rao ne 1987 se 1988 tak tank bund (hussain sagar) ko aur zyada develop kiya jisme lighting lagaana, tiles lagwana, kai aur statue bhi lagae sadak k doosri side pedh paudhe lagana,
Pehle is lake ka development 1946 me us waqt k hyderabad k chief minister Sir mirza ismail thei.
Tank bund (hussain sagar) k aas pass tourist places, iski timing, location, aur bus services,
Tank bund (hussain sagar) k 3_4 km k atraaf kai tourist places moujood hai jaise.
- Lumbini park.
- N T R park.
- Necklace road.
- Sanjeeviah park.
- Jalvihar water park.
- Imax theatre.
- Indira park.
- Charminar.
- Macca masjid.
- Chowmahella palace.
- Nampally exhibition.
- Paigah palace.
- Snow world.
Is ki entry free hai.
Location: near himayat nagar, tank bund road, hyderabad, telangana, india
Comments
Post a Comment