Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Shilparamam Hyderabad- ticket cost timing images.
Shilparamam: Hyderabad k ilaqe hi-tech city madhapur me waqe ek art aur craft gaov (village) hai. Jise telangana hukumat be banwaya hai.
Isko public awareness k liye banaya gaya aapko yaha village jaise feel karane k liye sare intezam hai.
Is village ko logo me jagrupta lane k liye aur art n craft ki khoobsurti iski ahmiyat batane k liye banaya gaya. Yaha Sara saal Amphi theatre me ethnic festival hote rahte hai. Is theatre me lagbhag 1000 se zyada logo ki gunjaesh hai.
is village ko 1992 me banaya gaya Jo 65 acre me phaila huwa hai.
Ye shaher k bheed bhaad wale ilaqe me cyber tower k bilkul samne bana huwa qudrati mahol ka ahsas dilata hai.
Isme bahtareen karigari hame dekhne ko milti hai yaha sari cheeze hand crafted hai kapdo k shops, artificial flowers aur flower pots, hath se bane huwe mitti k bartan k kai sare shops yaha moujood hai iske ilawa village jaise ghar yaha tak k iske office bhi jhopdiyo jaise banae gae hai. Janwaro k liye bhi ghar banae gae hai jinme murge (hens) bakriya (goats) khargosh (rabbit) waqera bhi dekhne ko milege.
Shilparamam k arts k images Jo patharo me bane huwe.
Yaha patharo ko tarash k khoobsurat antique cheeze banai gai hai jaise bubbles, the zip, love ka simble, crocodile head, frog toung, lohe k kalakritiyo me sipahiyo ko banaya gaya janwaro k bhi kai sari kalakritiya bana kar diwaro par lagai gai hai.
Sath he lakdi (wood) se banai gai kalakritiya bhi aapko dekhne ko milegi.
Yaha iske ilawa aapko boating ki bhi sahulat hai aap chahe single aae ho ya sari family k sath yaha aapko pandle wale boats Jo 2 log milkar chalate hai. Aur automatic boats ka bhi safar karne ko milege lekin boating k alag se charges hai iska charge ₹30 adults k liye.
Sath he bacho k khelne k liye play area aur bado ko apni thakaan utarne k liye village jaise trees ko bandhe huwe jhule bhi milege
Shilparamam: jab aap family k sath jaoge to aapka din yadgar banna taey hai yaha aapka village jaisi feeling to aaegi he sath me khoobsurat arts aur craft dekhne kar aap inhe kharide baqair Na reh paoge sath he yaha aapko shaher k traffic k beech he traffic free jagah ka ahsas bhi hone wala hai.
Shilparamam ka ticket cost, location, timing, bus services.
Ticket cost: ₹60/- adults k liye.
₹20/- childrens 4 se 10 saal ki umar k.
₹30/- boating k liye.
₹30/- boating k liye.
Lens camera: 500/-
Timing: hafte k 7 din subah 10:30 se shaam 8:30 baje tak.
Location: jubilee Enclave, opposite cyber tower, hi-tech city, madhapur, Hyderabad, telangana, 500081, India.
Bus services: shilparamam pohochne k liye aapko hi-tech city cyber tower tak pohochna hoga iske liye aapko buses koti, afzal gunj, charminar bus depot, dilsukh nagar, Secunderabad, Attapur, shamsabad, ameerpet, uppal, waqera se mil jaegi.
Ya phir aap metro train se bhi yaha pohoch sakte ho.
Agar aap car ya bike se Jana chahate ho to Google map aapke liye best option hai..
Timing: hafte k 7 din subah 10:30 se shaam 8:30 baje tak.
Location: jubilee Enclave, opposite cyber tower, hi-tech city, madhapur, Hyderabad, telangana, 500081, India.
Bus services: shilparamam pohochne k liye aapko hi-tech city cyber tower tak pohochna hoga iske liye aapko buses koti, afzal gunj, charminar bus depot, dilsukh nagar, Secunderabad, Attapur, shamsabad, ameerpet, uppal, waqera se mil jaegi.
Ya phir aap metro train se bhi yaha pohoch sakte ho.
Agar aap car ya bike se Jana chahate ho to Google map aapke liye best option hai..
Comments
Post a Comment