Skip to main content

Featured Post

Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi)

  Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location  (Hindi)   Hyderabad hamesha he se apne  Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi   architecture me  Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome  karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum,  paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque   ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya Jam e Masjid Aiwan-E-Begumpet, bhi hai. Ye masjid touristo

Charminar- Hyderabad- location markets timing (hindi)

Charminar- Hyderabad- location markets timing (hindi) 

 Places to visit Hyderabad in Hindi (Roman English)

Charminar - Hyderabad shaher ki pehchan isse is shaher ka taj kahege to ghalat nahi hogi dunya bhar me jana jane wala Deccan Architecture ka ek nayaab dabakar jise dekhne k liye dunya bhar se log Hyderabad ka ruq karte hai apne aap me ek poore shaher ki kahani liye ye nayab imarat 1591 me banaya gaya charminar se muraad iske charo minar hai is k upar ek khoobsurat masjid bhi bani huwi hai jo iske sath he banwai gai thi.

 Places to visit Hyderabad in Hindi (Romen English)

Iska itihaas utna he purana hai jitna charminar ka

Charminar ko banane wale aur iski history.

Charminar ko muhammed Quli Qutub shah ne banwaya tha.
Iske architect: mir momin astarawadi thei.
Ya imarat limestone aur granite. Mortar aur marble se bani huwi hai iske har ek minar ki oounchai (160) feet ki hai.

 Places to visit Hyderabad in Hindi (Romen English)


Hyderabad ka nirmaan Muhammed Quli Qutub shah ne he ki thi jinka pehla darul hukumat Golconda fort tha baad me inhone 1591 ko Hyderabad ko apna darul hukumat banaya.
Charminar ko tijarati raste me banaya gaya tha taake Hyderabad k Golconda fort se state k bandargah machli patnam tak samaan laya lejaya jasake.
Ye imarat shaher k beecho beech tameer karwai gai thi jo islam k 1000 saal pure hone ki yaad me banai gai.
Iske atraaf aaj Bazaro ka hujoom hai jaha tak apki nazar jaegi sirf bazar he bazar dukane he dikhai dege khaas tour par Eid-ul-fitar (Ramzan) aur Eid-ul-Adha (baqar eid) me yaha ke Bazaro ki ronak dekhte he banti hai logo ka hujoom umad padta hai tyoharo k waqt sath he yaha k Bazaro me aapko taqriban har cheez mil jaegi.

 Places to visit Hyderabad in Hindi (Romen English)

Yaha aapko kapdo ka pura ek market he hai jise patel market k naam se jana jata hai.
Sath he shoes aur chappalo ka bhi market hai jise madina chowrasta ya madina building k naam se jana jata hai.
Sath he aurato k chudiyon ka unke sajao sringaar ka bazar hai  jise (lad bazar) k naam se jana jata hai jaha lag bhag har waqt he logo ka hujoom dikhai deta hai. 

Charminar k atraaf tourist places aur iska ticket cost, location, aur bus services.

Charminar k atraaf 1-2 km ki doori par aapko macca masjid, chowmahella palace, mahboob chowk mosque, falaknuma palace, H.E.H the Nizam museum, salad jung museum, Golconda fort, Qutub shahi tombs, sudha car museum, waqera moujood hai.

Bus services: aapko charminar bus depot tak pohochna hoga iske liye aapko buses koti, Afzal gunj, Dilsukh nagar, Abids, Secunderabad, Begumpet, Falaknuma, Attapur, shamsabad, waqera se mil jaegi.

Ticket cost: ₹10-00 adults k liye.
₹5-00 children's k liye.
Lekin charminar dekhne k liye koi ticket nahi hai ye ticket cost charminar k upar chadhne k liye hai.

Location: charminar Rd, char kaman, Ghansi bazar, Hyderabad, telangana, 500002, India.


Comments

Popular posts from this blog

Sudha Cars Museum Hyderabad- ticket cost timing location (Hindi)

Sudha Cars Museum Hyderabad- ticket cost timing location (Hindi) Sudha Cars Museum Hyderabad- k Bahadurpura, Nehru zoo logical park k qareeb waqe hai. Dekhne k liye ek dilchasp jagah. Jo India me he nahi Balki dunya ka first hand made wacky hand made cars ka museum hai.isme hamare gharelu istemal k saaz o samaan ki shakal ki cars Bana kar rakkhi gai hai aur ek dunya ki sabse pehli  multi use car aur kai hairat angez cars bani huwi hai Jo taqriban 500 k qareeb hai Jo travellers Ko apni taraf aakarshit Karti hai, Sudha car museum : me brinjol car, pen car, pencil car, camera car, shoe car, tennis cock car, cricket ball car, golf ball car, chess board car, helmet car, computer car, snooker table car, shivalinga car,  cup n table car, double bed car, football car, mug car, sofa car, ladies hand bag car, lipstick car, stilleto car, comdom bike, compact car, dining table car, burger car, cage car, Christmas tree car, cricket bat car, lotus car, suitcase car, aur dunya ki sabse c

Paigah tombs Hyderabad- entry timing location (Hindi)

Paigah tombs Hyderabad- entry timing location (Hindi) Paigah Tombs , Hyderabad k ilaqe santosh nagar me waqe hai Jo owaisi hospital k samne gali me hai.   Ye paigah family shams-ul-umra se taluk rakhte hai Jo 7th nizam mir usman Ali k kattar wafadar thei iske sath he wo nizam k senapati bhi thei. Jinka muqaam 7th nizam k baad 2nd  muqaam rutba rakhte hai. Paigah family ki detail. Paigah khandan k wanshanj Abu al fateh tegh Jung Bahadur. Burhanpur me paida huwe phir Hyderabad hijrat karke aae Inhe nawabi khitaab se nawaza gaya sath he salabat Jung ki taraf se 1756 me Saltanat ki difa k liye muqarar kiya gaya. Paigah tombs me Abu al fateh tegh Jung Bahadur aur unke khandan k aur khaas nazdiki logo k maqbare hai. Paigah k qaandaan 18 v sadi k Sabse taqatvar aur reputation khandano me se thei jo islam k doosre qalifa Syedna Umar (rz) k vanshaj thei. Inki jageer ka area 4000 sq miles tha, ye Abdul Fateh Khan Tegh Jung inke aaba o ajdaat thei jo Asif Jah k Sath Hyderab

Snow world Hyderabad- ticket cost entry timing (Hindi)

Snow world Hyderabad- ticket cost entry timing (Hindi)    Snow world   agar aap hills station aur barfile jagaho par Jana pasand karne walo me se ho to ye jagah aapke aur aapke sari family k liye perfect hai. Ye ek snow aur Amusement park hai telangana k shaher hyderabad k Hussain Sagar lake aur Indira park k qareeb waqe hai. Jiska land area Snow world: Ko  Jane mane group OPML ne banwaya hai jo ocean park k bhi nirmaan karta hai.  ka land area 17000 sft hai ye bacho k Manoranjan ki bahtareen jagah hai bache yaha barf (snow) se khoob luft andoz hote hai. Ye amusement park dunya ka Sabse bada snow park hai. Iska   temperature 0 se 5 degree tak badalta rahta hai is park Ko hill station k tour par banaya Gaya hai. Snow world me khele Jane wale khel. isme logo k Sath uchai par trekking karna rassiyo se volley Ball, Snow Merry-Go-Round, snow basket ball, Snow Dancing. ice skating, ice boarding, snow slides bumping-car,k Sath toboggan rides, jaise dilkash Khel touristo Ko a