Spanish mosque - Hyderabad Secunderabad entry timing location (Hindi) Hyderabad hamesha he se apne Adab, mahmaan nawazi, biryani, aur architecture, se Jana jata hai Issi architecture me Spanish mosque bhi shamil hai is masjid ki khoobsurti dekhte he Banti hai ek sadi purani masjid. Jo har dhram k logo k liye hamesha welcome karti hai. Masjid 112 saal purani hai Jo paigah family ne banwai thi Jo Hyderabad Nizam k kattar wafadar aur senapati thei. Sir viquar -ul-umra ne 1887 me apne European tour k douran moorish architecture se prabhavit ho kar 1906 me banwaya tha. Masjid ka sang bunyad 5th paigah Amer, HE nawab Mohammed fazaluddin Khan, Iqbal ud doula, Sir Viqar-ul-Umra, 1900 aur (1902) me inki sudden death ki wajah se nawab sultan UL mulk, jo inke waris aur bade bete thei Princess Jahandarunissa Begum, paigah k 6th Ameer ne mukammil Kiya, Spanish mosque ka doosra Naam Masjid Iqbal Ud Daula ya...
Himayat sagar- sagar- Hyderabad entry timing (Hindi)
Himayat sagar shaher Hyderabad se qareeb 20km door ek artificial lake hai jise 7th akhri Nizam Mir Osman Ali ne banwaya tha.
Is lake ko Mir Osman Ali ne apne bete Himayat Ali Khan k naam se banwaya
Jise Hyderabad k liye pine ka pain muhaiyya karane ki gharaz se tameer kiya gaya is lake me 2.9 tmc pani storage karne ki shamta hai.
Lake ko 1927 me banaya gaya tha
Iske engineer late khaja mohiuddin k nigrani me banaya gaya tha.
Himayat sagar ko banane ka maqsad ek to pine ka pani logo tak pohchana bhi tha doosra sailab (flood) se bhi Hyderabad ko bachana tha Jo 1908 me aaya tha.
Ye lake aur usman sagar lake haalya Dino tak Hyderabad ko pani faraham karti rahti thi badhti Hyderabad ki badhti population k kaaran ab iska pani rok diya gaya bus jab parish k mousam me lake ka pani khatre k nishan se upar chala jata hai tab is lake k gates khole jate hai.
Is lake me 17 gates hai.
Ye jagah pur sukoon aur qudrati mahol se bhari padi hai aksar muqami log yaha apne kuch waqt bitane aur picnic manane aate hai.
Himayat sagar ka maintainess isme moujood park.
Is lake ki dekh rekh Hyderabad metropolitan water supply & sewerage board (HMWS&SB) karta hai Jo hukumat telangana k under me aata hai.
Lake apne khali waqt guzarne aur picnic manane k liye badiya jagah hai aapko yaha nature ki khoobsurti nazdeek se dekhne ko milegi iske ilawa yaha Government ki taraf se ek nursery park bhi banaya gaya hai.
Jisse state medicinal & Aromatic plants board (NNMP PROJECT) k duara banwaya gaya.
Park me sarpagandha, Decalepis, Gloriosa, laptadenia, waqera ko uthane k liye logo ko ped poudho (trees) k bare me jagruk karne ki gharaz se bhi ye park banaya gaya.
Is park me aap sar sabz poudhe aur ghaans k atraf apne aapko paoge.
Iske ilawa park me bacho k khelne k liye play area (jhule) bhi hai.
Shaher se door pur sukoon jagah me ye lake aapke din ko khush gawaar banane k liye kafi hai.
Sath he himayat sagar k 4-5km k atraaf aapko Osman sagar, ocean park, treasure island, taramati baradari, Golconda fort, qutub shahi tombs, mrugavani national park jaise tourist places bhi mil jaege.
Himayat sagar ka ticket cost, entry timing, location, bus services.
Iski entry free hai.
Location: moinabad x road, chevella highway, near chilkur, Hyderabad, telangana, India.
Timing: hafte k 7 din. Subah 6:00 baje se dopaher 11:00 baje tak.
Aur shaam 4:00 se 7:00 baje tak.
Bus services: aapko himayat sagar bus stop tak pohochna hoga.
Iske liye aapko buses Charminar bus depot, langerhouse, mehdi patnam, Attapur, Namlally, waqera se mil jaegi.
Comments
Post a Comment